Khayalo Ki Dor!!

Kitne hi khayal aate aur chale jaate hai jinki raftar ki koi seema nahi...

Khayal ye to thaharna jaante hi nahi hai...

Chal padte hai bas manzil ki taraf kisi na kisi udhedbun me...

Aur fir aa jate hai vapas takarakar...

Kitna hi sabar rakhna chaho...

Par ye mann to chahta hi nahi...

Bas fir chal padta hai ek nayi ulghan me...

Fir naye sawal leke us umeend ki kiran ki aur...

Aur le aata hai muskan chehre pe aise, jaise ki bahar ho in pholo pe.....

Samai ke sath ye pal bhi beet jayega...

Aur le aayega ek nayi subah jo kar dega arogya man ko...

Apne prakash se(deepak)...

Ek bheeni sugandh se(mogra),

Ek madhur dhwani se(payal ki chann)...

Mann roopi mandir se(prem)....

Radhe Radhe!! Krishna Krishna!!

Write a comment ...

Geetika Khatri

Show your support

Spread love as much as you can without the thought of recieving.

Write a comment ...

Geetika Khatri

Public Speaking and Creative Writing Expert