Safar Mann Ka

Kitni vicitra hai ye baat ki ek ummed ke sahare bahe ja rhe hai kinare ki talash mein.

Kinara agar mil bhi jaaye to ye Safar tab bhi ni rukega.

Safar, kya hai ye Safar jo is paar bhi hai aur us paar bhi hoga.

Kya chahta hai ye mann jo kabhi sthir hai to kabhi machalta hai.

Jis mann ke pass sare sawalo ke jawab hai fir bhi vo ye kyu nahi samgh pata ki vo chahta kya hai.

Ruk kar ke bhi sukoon nahi is mann ko.

To fir chal padta hai ye mann is safar mein.

Sawalo ke jawab dhundne aur naye sawal ki khoz mein.

Kam na samgho is mann ko, agar kisi ko kam samjhna hi hai to samgho us paristhiti ko jo is mann ke aage kuch bhi nahi, mann ke aage kuch bhi nahi.

Write a comment ...

Geetika Khatri

Show your support

Spread love as much as you can without the thought of recieving.

Write a comment ...

Geetika Khatri

Public Speaking and Creative Writing Expert