Nayi Raah

Mann to chanchal hai aur usse bhi jyada chanchal hai ye machliyan...

Is chanchal mann ko ek raah ki jarurat hoti hai...

Par ek wakt pe raahein khatam hoti nazar aati hai...

Fir bhi wakt rukta nahi kisi ke liye aur mann dhund leta hai ek naayi raah...

Nazariye ke badlav se badalti hai disha aur duniya...

Aur deti hai ek pyara ahsaas jo kar deta hai mann prasann...

Khud ko dhundne ki raah aasan nahi...

Par mushkil shabd apne shabdkosh me shamil nahi...

Aab ye Prem ka ahsaas mann ka vyavhar hai..

Aur is jeevan ka adhaar bhi...

Fir bhi mann ulghan me hai na jaane kyu...

Itne wakt se ulgha hai na jaane kab sulghega...

Intezaar ki seema hai jo karni hai paar...

Sabar ki dorr dheeli padd jaye...

To nayi raah khul hi jaati hai...

Jaise ki jeevan ka ye chor chetna tak pahunch gya hai...

Ek aisi raah jo mann ko kar rahi hai utsahit...

Write a comment ...

Geetika Khatri

Show your support

Spread love as much as you can without the thought of recieving.

Write a comment ...

Geetika Khatri

Public Speaking and Creative Writing Expert