Man vo patang hai jo udna janti hai girna nahi
Dimag vo tarang jo sirf girna janti nahi sambhlna nahi
Vo asman kitna saaf hai jaha patang ki dor nahi..chidiya ki gunj hai
Vo jameen kitni Hari hai jaha shor nahi..phoolo ki sunderta hai
Is man rupi prakash ne charo aur andhkar ko door bhagaya hai..
Jeet ki pukar tumhe bula rhi hai bas thame rah yu hi hath
Ye hi vo ghadi hai jo aaj se phle nahi mili aur aage ka pata nahi
To kyu na jee le is pal aur bhar de vo udan jo le jaaye Khushi ki aur..
Khushi
Show your support
Write a comment ...