Samai

Kaisi peeda hai ye,

Kaisa samai hai ye,

Jab apno ki takleef na samghe,

Jab parayon me apnapan dikhe,

Jo gatha gaayi gyi thi sadiyon pahle,

Aaj bhi vahi hai,

Aaj bhi vahi samai hai,

Vahi jung ki ghadi hai aaj,

Kaisa ye yudh hai man ka,

Jisme na jeet hai na haar hai,

Akhir kaisa samai hai ye,

Jisme kuch lamhe aise a jaate hai jo kabhi soche bhi na ho,

Aur kuch aise bhi soch se bhi pare ho...

Write a comment ...

Geetika Khatri

Show your support

Spread love as much as you can without the thought of recieving.

Write a comment ...

Geetika Khatri

Public Speaking and Creative Writing Expert